Om Namah Shivay Om Vishnay Namah
Jan 30, 2008
aabhav agar hai to prabhu
aabhavi ko drishti deejiye
dukh se bhare iss sansar ko
sukh pehchanne ki shamta deejiye
main samajh nahi pata hoon prabhu
ki yeh bhedbhav kyun hai
koi kahani pehle se chali aa rahi hai
ya sabkuch swet hai
maloom hai kidhar base ho prabhu
phir bhi dar-dar dhoondta hoon tujhe
main aa raha hoon teri or
bus ik vinti hai prabhu ki
tu bhi kheech apni or mujhe
बुधवार, 30 जनवरी 2008
मंगलवार, 29 जनवरी 2008
बुधवार, 16 जनवरी 2008
while @ Starbucks in NYC, in btw meetings
Om Namah Shivay Om Vishnay Namah
Jan 15, 2008
inn eemarton ki tarah khara
yeh aasman choomne ki chahat rakhta hoon
iss duniya ka bhoj jhel raha hoon
yeh aasman mein kho jaane ki chahat rakhta hoon
iss mukti ke vilaap ka anubhav
iss bhaari aabhaav ko nasht karne ki aasha rakhta hoon
meri aatma ki aawaz
maano kahin khule mein jhoom rahee ho
uss ki goonj ko dhoondta hua
main khoya-khoya sa mehsoos karta hoon
meri prabhu tak ki yeh yatra
yoon hee sampann ho jayegi
meri apni antaraatma tak ki yeh daur
bahut prem se mujhe shanti ka rahasya sikhlayegi
Jan 15, 2008
inn eemarton ki tarah khara
yeh aasman choomne ki chahat rakhta hoon
iss duniya ka bhoj jhel raha hoon
yeh aasman mein kho jaane ki chahat rakhta hoon
iss mukti ke vilaap ka anubhav
iss bhaari aabhaav ko nasht karne ki aasha rakhta hoon
meri aatma ki aawaz
maano kahin khule mein jhoom rahee ho
uss ki goonj ko dhoondta hua
main khoya-khoya sa mehsoos karta hoon
meri prabhu tak ki yeh yatra
yoon hee sampann ho jayegi
meri apni antaraatma tak ki yeh daur
bahut prem se mujhe shanti ka rahasya sikhlayegi
बुधवार, 9 जनवरी 2008
KAVEETAYEN2















Main apni samast kavitaon ki shuruvad 'Om Namah Shivay Om Vishnay Namah' se karta hoon Meri aapse vinti hai ki in kavitaon ko dharan karne ke paschaat aasan mein baith jayen (pairo ko ek dusre ke uppar, aalti palti) aur kamar seedhi rakh ke apni nabhi ke kendra par dhyaan karke 'Om Namah Shivay Om Vishnay Namah' ka gaan kare aur bilkul shaant ho jayen, Gaurav
Kaveetayon ka naam unki tareek hai
Kaveetayon ka naam unki tareek hai
मंगलवार, 8 जनवरी 2008
An Open Invitation
iss akelepan se agar main dosti kar loon
to kya maloom devta ka anubhav ho jaaye
iss yehsaas se yeh duniya tyaag dee hai maine
kya maloom yeh ehsaas kahin ehsaas hee naa reh jaye
aao sawaron mere jeev ko
main khula nyota deta hoon he prabhu
main aazaad hoon, main aabaad hoon
ab mujhe apna lo he prabhu
khulee hai chaukhat, kee meri chahat hai kee aap dastak bhi na do
yoon hee chale aao he prabhu
khula aangan hai yeh tann mera
sama jao aur bhasm kar do
mujhe nasht karne ka main aabhari honga tera
to aao prabhu aur khelo mere saath
dwaar khula hai, aur aangan aabaad
to kya maloom devta ka anubhav ho jaaye
iss yehsaas se yeh duniya tyaag dee hai maine
kya maloom yeh ehsaas kahin ehsaas hee naa reh jaye
aao sawaron mere jeev ko
main khula nyota deta hoon he prabhu
main aazaad hoon, main aabaad hoon
ab mujhe apna lo he prabhu
khulee hai chaukhat, kee meri chahat hai kee aap dastak bhi na do
yoon hee chale aao he prabhu
khula aangan hai yeh tann mera
sama jao aur bhasm kar do
mujhe nasht karne ka main aabhari honga tera
to aao prabhu aur khelo mere saath
dwaar khula hai, aur aangan aabaad
शनिवार, 5 जनवरी 2008
sideline
kitna kharaab hoon main
yeh khabar mujh ko de de
jitna kharaab hoon main
utni saza mujh ko de de
ruk mat ye prabhu
ruk-ruk ke saza na de
meri tere kareeb aane ki wajah
teri mere liye yeh saza na ho
yeh saza wajah na bane
mujhe apne kareeb lane ki
ik aisi wajah de de he prabhu
ik aisi wajah de de
yeh khabar mujh ko de de
jitna kharaab hoon main
utni saza mujh ko de de
ruk mat ye prabhu
ruk-ruk ke saza na de
meri tere kareeb aane ki wajah
teri mere liye yeh saza na ho
yeh saza wajah na bane
mujhe apne kareeb lane ki
ik aisi wajah de de he prabhu
ik aisi wajah de de
गुरुवार, 3 जनवरी 2008
reflection
hai chain ki khoj to aasman dekh le o saathi
hai aasman ki khoj to pakshi dekh le o saathi
aazadi aur mukti ki agar khoj hai to
zara andar jaankh le o saathi
apne karavan ka bhoj apne hi kaandho mein na utha o saathi
jiski khoj hai ussi ke bhoj ka bhoj na utha mere saathi
is khoj ka annt is bhoj ke annt se hi hoga mere saathi
hai aasman ki khoj to pakshi dekh le o saathi
aazadi aur mukti ki agar khoj hai to
zara andar jaankh le o saathi
apne karavan ka bhoj apne hi kaandho mein na utha o saathi
jiski khoj hai ussi ke bhoj ka bhoj na utha mere saathi
is khoj ka annt is bhoj ke annt se hi hoga mere saathi
सदस्यता लें
संदेश (Atom)